Wednesday, April 13, 2011

Relation kya h ???

Relation kya h ? uttar relation ek defect h

Relation ek defect ki tarah h , kal bhi tha , aaj bhi h , kal bhi rahega
Parth tum relation k moh mein naa pado , ye relation wo defect h jo kabhi functional , kabhi cosmetic ,To kabhi regression k roop dharan kar k tumhare samne aata h

Relation bhi defect ki tarah tumhare samne hokar bhi tumhari najro se chupa rahega. Tum kitni bhi koshish kar lo, tum ise nahi pehchaan sakte. Par jaise ki UAT/BAT user , client unn defects ko pakadte h , waise hi relation ko bhi tumhare office wale, padosi hi pehchaanenge aur chugli karenge.

Relation bhi defect ki tarah door se dikhai deta h, par jab tum uske pas jate ho , to jaise defect ko descope ya enhancement batakar deferred kar diya jata h, usi prakar tumhe bhi ek normal friend bolkar bhaga diya jayega.

Jaise defect apne life cycle mein anek roop leta h , jaise new defect , approved, resolved, closed, theek usi prakar relation bhi crush se shuru hota h, fir msg chat pe jata h, fir late night call, first date se hota hua break up tak, kabhi kabhi relation break up pe nahi jata wo shaadi pe chala jata h, jaise ki defect agle release mein functionality bann jata h . par aam taur pe relation defect ki tarah hi crush se shuru hokar break up pe ata h , jaise defect new se closed banta h

Defect ki tarah hi relation bhi aapko naa naa prakar k follow up karna sikhata h. defect k liye aap dev se follow up karte ho, analyst se follow up karte ho, usi prakar relation mein aap kuch bhool gaye to manane k liye follow up, unhe kuch chahiye to uska follow up, raat mein aapne baat nahi ki to uska follow up.

Jaise defect k andar dev walo ka manager aur QA walo k manager hote h jo bigarti hui baat sambhalte h, theek usi prakar relation mein bhi 2 best friends hote h jo aapko har samasya se nikaalne k liye velle baithe rehte h

Jaise defect k raise hote hi , poori team use resolve karne mein lag jati , chahe wo kisi k bhi against raised ho , theek usi prakar relation chahe shuru hua ho ya khatam hua ho, poori dunia relation k bare mein gossip karne mein lag jati h

Jis prakar hum ek release khatam hone k baad uss release mein aaye defects ka client k sath causal analysis karte h , theek usi prakar hum ek relation over hone k baad samne wale se baith k discuss karte h ki galti kaha aur kisse hui. Aksar aise cases mein samne wala causal analysis k baad bhi vendor change nahi karta, par agar release bade level pe fail hua to client project cheen leta h , usi prakar agar aap adiyal rahe to samne wala aapko laat maar k bhaga deta h.
kabhi kabhi ye itna bhayanak drashya ho sakta h ki , vendor ko ramp down karna padta h, theek usi prakar relation mein aapko kai prakar ki shopping , daaru , senti song ka sahara lena padta h.

Jeevan nirantar h , ye kaal samay ka chakra kabhi kisi k liye nahi rukta. Jaise ek release khatam hone k baad aap poorane defects ko bhool jate ho , theek usi prakar ek relation k baad dosre mein aap porane vyakti ko yaad nahi karte ho.


JAI HO JAI HO
Relation kya h ???SocialTwist Tell-a-Friend

No comments:

Post a Comment